Kashmir Main Tu Kanyakumari Lyrics | Arijit Singh | Chennai Express
Kashmir Main Tu Kanyakumari Lyrics from Chennai Express :- Starring Shahrukh Khan,Deepika Padukone sung by Arijit Singh,Neeti Mohan,Sunidhi Chauhan. This song is composed by Vishal-Shekhar with lyrics written by Amitabh Bhattacharya.
Starring :: Shahrukh Khan,Deepika Padukone.
Director :: Rohit Shetty.
Song :: Kashmir Main Tu Kanyakumari
Singer :: Arijit Singh,Neeti Mohan,Sunidhi Chauhan
Composer :: Vishal-Shekhar
Lyricist:: Amitabh Bhattacharya
Kashmir Main Tu Kanyakumari Lyrics
Kabhi kabhi do raahein
Jude-jude kuch aise ki laga ho jaise gum
Double-double hoti thi jo kabhi-kabhi
taqleefein
Kisi ke sang mein chalne se hui half se
kum
Ho tera-mera, mera-tera
Tera-mera, mera-tera qissa atrangi
Kabhi-kabhi chalti hai
Kabhi-kabhi rukti kahani bedhangi
Kashmir main tu Kanyakumari
North-South ki kat gayi dekho doori hi
saari
Kashmir tu main kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari
Ek taraf to jhagda hai, saath phir bhi
tagda hai
Do kadam chalte hain to lagta hai aath
hain
Do tarah ke flavour, sau tarah ke tevar
Dar-badar firtein hain ji phir bhi apni
thaath hai
Kabhi-kabhi chale seedhe, kabhi mud
jaayein
Kabhi-kabhi kahin tootein, kahin jud
jaayein
Hum sham-sahar ke
Chaaron pahar ke
Mood mein dhal jaayein
Kashmir main, tu Kanyakumari
Uttar ne dakshin ko aflatoon aankh maari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Tel bechne jaaye toh phir yeh duniya saari
Hey hey…
Main zara sa puncture to tu hawa ke jaisi
hai
Sath ho to pahiye taqdeeron ke tight ho
Bulb ban jaaun main aur tu switch ban jaa
Bhaad mein jaaye duniya apni batti light ho
Kabhi-kabhi chale seedhe kabhi mud jaayein
Kabhi-kabhi paidal kabhi ud jaayein
Humein dekh zamane walon ki chaahe naak
sikud jaye
Kashmir main, tu Kanyakumari
Halke-fulke packet mein dekho mushqil bhari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Hindi mein gustakhi hai to English mein sorry
Chipak-chapak ke chalti hain
Kabhi kabhi do raahein
Jude-jude kuch aise ki laga ho jaise gum
Double-double hoti thi jo kabhi-kabhi
taqleefein
Kisi ke sang mein chalne se hui half se kum
Ho tera-mera, mera-tera
Tera-mera, mera-tera qissa atrangi
Kabhi-kabhi chalti hai
Kabhi-kabhi rukti kahani bedhangi
Kashmir main, tu Kanyakumari
North-South ki kat gyi dekho doori hi saari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari